tumne jo insan ho kar baat insani nahin ki
tum ne jo insān ho kar baat insānī nahīñ kī
kar to sakte the koī harkat jo shaitānī nahīñ kī
kyoñ hameñ buniyād hone kī ġhalat-fahmī rahī ye
kyoñ hamāre dil ne saarī 'umr man-mānī nahīñ kī
paas koī jo sunāne ke liye qissa nahīñ hai
ho rahā afsos ye kyoñ ham ne nādānī nahīñ kī
dhuup meñ ik peḌ kā saayā mayassar ho gayā to
bādaloñ kī chhāñv kī har vaqt nigrānī nahīñ kī
jo charāġhoñ kī tarah jalte rahe us raat ko ham
to ḳhudā ne bhī havā us roz tūfānī nahīñ kī
raaz saare khul ga.e nākām dil ke tab hamāre
dil-jale kī baat par jab ham ne hairānī nahīñ kī
ham ne ik 'mā'sūm' ko jab bechte dekhā khilaune
phir kabhī harkat hamāre dil ne bachkānī nahīñ kī
tum ne jo insan ho kar baat insani nahin ki
kar to sakte the koi harkat jo shaitani nahin ki
kyon hamein buniyaad hone ki ghalat-fahmi rahi ye
kyon hamare dil ne sari 'umr man-mani nahin ki
pas koi jo sunane ke liye qissa nahin hai
ho raha afsos ye kyon hum ne nadani nahin ki
dhup mein ek peD ka saya mayassar ho gaya to
baadalon ki chhanw ki har waqt nigrani nahin ki
jo charaghon ki tarah jalte rahe us raat ko hum
to KHuda ne bhi hawa us roz tufani nahin ki
raaz sare khul gae nakaam dil ke tab hamare
dil-jale ki baat par jab hum ne hairani nahin ki
hum ne ek 'ma'sum' ko jab bechte dekha khilaune
phir kabhi harkat hamare dil ne bachkani nahin ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.