tum par ye inkishaf hua hi nahin kabhi
tum par ye inkishāf huā hī nahīñ kabhī
maiñ qābil-e-yaqīn to thā hī nahīñ kabhī
mujh ko sadā-e-nār se nisbat rahī sadā
jis or phuul the maiñ gayā hī nahīñ kabhī
maiñ is liye bhī apnā samajh baiThā thā tujhe
tū ajnabī kī tarh milā hī nahīñ kabhī
achchhā to pyaar aise kiyā jaatā hai janāb
maiñ ne to jaise pyaar kiyā hī nahīñ kabhī
bante rahe bigaḌte rahe ham tamām 'umr
ham ne ḳhirad se kaam liyā hī nahīñ kabhī
tum par ye inkishaf hua hi nahin kabhi
main qabil-e-yaqin to tha hi nahin kabhi
mujh ko sada-e-nar se nisbat rahi sada
jis or phul the main gaya hi nahin kabhi
main is liye bhi apna samajh baiTha tha tujhe
tu ajnabi ki tarh mila hi nahin kabhi
achchha to pyar aise kiya jata hai janab
main ne to jaise pyar kiya hi nahin kabhi
bante rahe bigaDte rahe hum tamam 'umr
hum ne KHirad se kaam liya hi nahin kabhi
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 52)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.