tum pe kya bit gai kuchh to batao yaro

Jaan Nisar Akhtar

tum pe kya bit gai kuchh to batao yaro

Jaan Nisar Akhtar

MORE BY Jaan Nisar Akhtar

  tum pe kyā biit ga.ī kuchh to batāo yaaro

  maiñ koī ġhair nahīñ huuñ ki chhupāo yaaro

  in añdheroñ se nikalne koī raah karo

  ḳhūn-e-dil se koī mish.al jalāo yaaro

  ek bhī ḳhvāb na ho jin meñ vo āñkheñ kyā haiñ

  ik na ik ḳhvāb to āñkhoñ meñ basāo yaaro

  bojh duniyā uThā.ūñgā akelā kab tak

  ho sake tum se to kuchh haath baTāo yaaro

  zindagī yuuñ to na bāñhoñ meñ chalī aa.egī

  ġham-e-daurāñ ke zarā naaz uThāo yaaro

  umr-bhar qatl huā huuñ maiñ tumhārī ḳhātir

  āḳhirī vaqt to suulī na chaḌhāo yaaro

  aur kuchh der tumheñ dekh ke luuñ Thahro

  merī bālīñ se abhī uTh ke na jaao yaaro

  tum pe kya bit gai kuchh to batao yaro

  main koi ghair nahin hun ki chhupao yaro

  in andheron se nikalne ki koi rah karo

  KHun-e-dil se koi mishal hi jalao yaro

  ek bhi KHwab na ho jin mein wo aankhen kya hain

  ek na ek KHwab to aankhon mein basao yaro

  bojh duniya ka uThaunga akela kab tak

  ho sake tum se to kuchh hath baTao yaro

  zindagi yun to na banhon mein chali aaegi

  gham-e-dauran ke zara naz uThao yaro

  umr-bhar qatl hua hun main tumhaari KHatir

  aaKHiri waqt to suli na chaDhao yaro

  aur kuchh der tumhein dekh ke ji lun Thahro

  meri baalin se abhi uTh ke na jao yaro

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Added to your favorites

  Removed from your favorites