tum sath kya hue ki hue be-qarar log
tum saath kyā hue ki hue be-qarār log
muḌ-muḌ ke dekhte haiñ hameñ bār-bār log
aa.e to apne saath meñ laa.e bahār log
jaane lage to le ga.e dil kā qarār log
chhūTā kahāñ pe kaun kisī ko ḳhabar nahīñ
karte nahīñ kisī kā yahāñ intizār log
apnā.eñ kis ko kis pe bharosa kareñ yahāñ
jitne hameñ mile mile be-e'tibār log
rūdād-e-ġham unheñ to sunānā fuzūl hai
sunte haiñ kab kisī kī havā par savār log
yuuñ apnī zindagī ko liye phir rahe haiñ ham
jaise kahīñ Thaharte nahīñ haiñ farār log
us vaqt ek shaḳhs kī hotī hai aañkh nam
jis vaqt mujh pe hañste haiñ be-iḳhtiyār log
'gulshan' tamām 'umr to kāñToñ meñ kaaT dī
marne ke baa'd laa.e haiñ phūloñ ke haar log
tum sath kya hue ki hue be-qarar log
muD-muD ke dekhte hain hamein bar-bar log
aae to apne sath mein lae bahaar log
jaane lage to le gae dil ka qarar log
chhuTa kahan pe kaun kisi ko KHabar nahin
karte nahin kisi ka yahan intizar log
apnaen kis ko kis pe bharosa karen yahan
jitne hamein mile mile be-e'tibar log
rudad-e-gham unhen to sunana fuzul hai
sunte hain kab kisi ki hawa par sawar log
yun apni zindagi ko liye phir rahe hain hum
jaise kahin Thaharte nahin hain farar log
us waqt ek shaKHs ki hoti hai aankh nam
jis waqt mujh pe hanste hain be-iKHtiyar log
'gulshan' tamam 'umr to kanTon mein kaT di
marne ke ba'd lae hain phulon ke haar log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.