Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaara rang rang-e-asman jaisa badalta hai

Ghayas Mateen

tumhaara rang rang-e-asman jaisa badalta hai

Ghayas Mateen

MORE BYGhayas Mateen

    tumhārā rañg rañg-e-āsmāñ jaisā badaltā hai

    kisī ko chāhne vaalā kahīñ itnā badaltā hai

    sabā shabnam shafaq ruḳhsār gul mahtāb in sab

    tumhārā naam letā huuñ to kyuuñ chehra badaltā hai

    sabā guftār shīrīñ lab sitāra chashm haiñ to kyā

    badalte ham bhī haiñ jab sāmne vaalā badaltā hai

    kabhī jaatī nahīñ jañgal sandal ke paikar se

    ki sūrat ke badalne se kahīñ rishta badaltā hai

    ye shahr-e-be-sadā andar se shahr-e-ārzū niklā

    dhuāñ har-dam yahāñ bujhte charāġhoñ badaltā hai

    utarte vaqt paanī meñ zarā ye dekh lenā thā

    ki andar beach meñ kar yahī dariyā badaltā hai

    raho dīvār ke saa.e meñ lekin dekhte rahnā

    hamesha ruḳh yahāñ dīvār saaya badaltā hai

    suḳhan rasta lakīroñ se nahīñ lafzoñ se raushan hai

    lakīreñ pīTne se bhī kabhī rasta badaltā hai

    'matīn' aao chaleñ ḳheme jānib ik zarā so leñ

    vo dekho sub.h taarā libās apnā badaltā hai

    tumhaara rang rang-e-asman jaisa badalta hai

    kisi ko chahne wala kahin itna badalta hai

    saba shabnam shafaq ruKHsar gul mahtab in sab ka

    tumhaara nam leta hun to kyun chehra badalta hai

    saba guftar shirin lab sitara chashm hain to kya

    badalte hum bhi hain jab samne wala badalta hai

    kabhi jati nahin jangal ki bu sandal ke paikar se

    ki surat ke badalne se kahin rishta badalta hai

    ye shahr-e-be-sada andar se shahr-e-arzu nikla

    dhuan har-dam yahan bujhte charaghon ka badalta hai

    utarte waqt pani mein zara ye dekh lena tha

    ki andar beach mein ja kar yahi dariya badalta hai

    raho diwar ke sae mein lekin dekhte rahna

    hamesha ruKH yahan diwar ka saya badalta hai

    suKHan rasta lakiron se nahin lafzon se raushan hai

    lakiren piTne se bhi kabhi rasta badalta hai

    'matin' aao chalen KHeme ki jaanib ek zara so len

    wo dekho subh ka tara libas apna badalta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now