tumhaare murgh-zar par mere mazar par kabhi
tumhāre murġh-zār par mire mazār par kabhī
kabhī na harf aa sakā bharī bahār par kabhī
duhā.ī tum ko ik vasī' aur gahrī jhiil kī
chale bhī aao āñsuoñ kī rūd-bār par kabhī
kahāñ se kījiye bhalā shurū' apnī zaat ko
ki phir kahīñ na ruk sake ye iḳhtisār par kabhī
jo ho sake to ek pal zarā 'aqab-numā meñ dekh
ki aisī aañkh thī kisī kī terī car par kabhī
batā.e de rahā huuñ maiñ abhī se ek baat ko
kiyā hai ġhaur aap ne ḳhudā kī maar par kabhī
na sirf merā qatl hī kiyā mujhe miTā diyā
ki merī nasl meñ koī chaḌhe na daar par kabhī
hamārā kyā hai hausla bhī haar deñ to kyā 'ajab
ki bas chalā na jabr par na iḳhtiyār par kabhī
jue meñ jiit haar ke sivā to kuchh nahīñ 'nishāt'
isī meñ jiit hai tirī ki soch haar par kabhī
tumhaare murgh-zar par mere mazar par kabhi
kabhi na harf aa saka bhari bahaar par kabhi
duhai tum ko ek wasi' aur gahri jhil ki
chale bhi aao aansuon ki rud-bar par kabhi
kahan se kijiye bhala shuru' apni zat ko
ki phir kahin na ruk sake ye iKHtisar par kabhi
jo ho sake to ek pal zara 'aqab-numa mein dekh
ki aisi aankh thi kisi ki teri car par kabhi
batae de raha hun main abhi se ek baat ko
kiya hai ghaur aap ne KHuda ki mar par kabhi
na sirf mera qatl hi kiya mujhe miTa diya
ki meri nasl mein koi chaDhe na dar par kabhi
hamara kya hai hausla bhi haar den to kya 'ajab
ki bas chala na jabr par na iKHtiyar par kabhi
jue mein jit haar ke siwa to kuchh nahin 'nishat'
isi mein jit hai teri ki soch haar par kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.