tumhaare nam ghazal ki kitab kar dega
tumhāre naam ġhazal kī kitāb kar degā
vo chāl-bāz tumheñ bhī ḳharāb kar degā
mujhe ye vahm rahā hai tirī mohabbat meñ
ki mujh ko dhuup meñ phirnā gulāb kar degā
isī umiid pe us kī misāl DhūñDī nahīñ
vo lā-javāb mujhe lā-javāb kar degā
na apne haath baḌhāo sharāb kī jānib
mirā ḳhudā tumheñ mast-e-shabāb kar degā
abhī to ḳhush huuñ tire 'ishq meñ bahut ḳhush huuñ
ye ek din mirā jiinā 'azāb kar degā
abhī na pūchh ki kitnī thiiñ hijr kī rāteñ
kabhī ye dil tire ġham kā hisāb kar degā
maiñ kah rahā huuñ udāsī meñ mubtalā hai vo
use na mil tujhe 'anjum' ḳharāb kar degā
tumhaare nam ghazal ki kitab kar dega
wo chaal-baz tumhein bhi KHarab kar dega
mujhe ye wahm raha hai teri mohabbat mein
ki mujh ko dhup mein phirna gulab kar dega
isi umid pe us ki misal DhunDi nahin
wo la-jawab mujhe la-jawab kar dega
na apne hath baDhao sharab ki jaanib
mera KHuda tumhein mast-e-shabab kar dega
abhi to KHush hun tere 'ishq mein bahut KHush hun
ye ek din mera jina 'azab kar dega
abhi na puchh ki kitni thin hijr ki raaten
kabhi ye dil tere gham ka hisab kar dega
main kah raha hun udasi mein mubtala hai wo
use na mil tujhe 'anjum' KHarab kar dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.