tumhaari dastanon ke bahane likh rahe hain hum
tumhārī dāstānoñ ke bahāne likh rahe haiñ ham
hisār-e-zāt ke tārīk ḳhāne likh rahe haiñ ham
abhī tak likh rahe the sirf zaḳhmoñ kā pata lekin
ab apne dard ke saare Thikāne likh rahe haiñ ham
hamāre haal par koī taras khaa.e to kyā khaa.e
hujūm-e-yās meñ baiThe tarāne likh rahe haiñ ham
hameñ ḳhvāboñ kī duniyā to mayassar ho nahīñ paa.ī
magar ḳhvāboñ kī duniyā par fasāne likh rahe haiñ ham
ġhazal kahne kī koshish kar rahe haiñ dhuup meñ jal kar
na.ī nasloñ kī ḳhātir shāmiyāne likh rahe haiñ ham
chalo phir zindagī meñ ik nayā kirdār le aa.eñ
ka.ī din se vahī qisse purāne likh rahe haiñ ham
haqīqat to hameñ ujḌe manāzir hī dikhātī hai
magar sapne na jaane kyoñ suhāne likh rahe haiñ ham
tumhaari dastanon ke bahane likh rahe hain hum
hisar-e-zat ke tarik KHane likh rahe hain hum
abhi tak likh rahe the sirf zaKHmon ka pata lekin
ab apne dard ke sare Thikane likh rahe hain hum
hamare haal par koi taras khae to kya khae
hujum-e-yas mein baiThe tarane likh rahe hain hum
hamein KHwabon ki duniya to mayassar ho nahin pai
magar KHwabon ki duniya par fasane likh rahe hain hum
ghazal kahne ki koshish kar rahe hain dhup mein jal kar
nai naslon ki KHatir shamiyane likh rahe hain hum
chalo phir zindagi mein ek naya kirdar le aaen
kai din se wahi qisse purane likh rahe hain hum
haqiqat to hamein ujDe manazir hi dikhati hai
magar sapne na jaane kyon suhane likh rahe hain hum
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 94)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.