tumhein bas ye batana chahte hain
tumheñ bas ye batānā chāhte haiñ
tumheñ apnā banānā chāhte haiñ
vo ham se aa.e haiñ milne dubāra
jinheñ ham chhoḌ jaanā chāhte haiñ
vahī ik shaḳhs hai duniyā meñ bas ab
jise apnā banānā chāhte haiñ
hameñ jaise satātā thā kabhī vo
use ab ham satānā chāhte haiñ
ujālā hī ujālā har taraf ho
ik aisā ghar banānā chāhte haiñ
sameTo aa ke tum ik roz ham ko
ham itnā TuuT jaanā chāhte haiñ
vo jis meñ yaad terī rah na paa.e
ik aisā dil banānā chāhte haiñ
use ham hārne vaale haiñ shāyad
jise ham jiit jaanā chāhte haiñ
sitāre toḌ laa.e haiñ falak se
tirā kamrā sajānā chāhte haiñ
na koī dekh paa.e ġham hamāre
ham itnā muskurānā chāhte haiñ
tumhein bas ye batana chahte hain
tumhein apna banana chahte hain
wo hum se aae hain milne dubara
jinhen hum chhoD jaana chahte hain
wahi ek shaKHs hai duniya mein bas ab
jise apna banana chahte hain
hamein jaise satata tha kabhi wo
use ab hum satana chahte hain
ujala hi ujala har taraf ho
ek aisa ghar banana chahte hain
sameTo aa ke tum ek roz hum ko
hum itna TuT jaana chahte hain
wo jis mein yaad teri rah na pae
ek aisa dil banana chahte hain
use hum haarne wale hain shayad
jise hum jit jaana chahte hain
sitare toD lae hain falak se
tera kamra sajaana chahte hain
na koi dekh pae gham hamare
hum itna muskurana chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.