tumhein khone ka hum ko gham nahin hai
tumheñ khone kā ham ko ġham nahīñ hai
milā hai jo vo tum se kam nahīñ hai
bhale hī pyaar kā mausam nahīñ hai
magar shikva tumhārā kam nahīñ hai
faqat haarā huuñ apne dostoñ se
ki dushman meñ to itnā dam nahīñ hai
kise apnā kaheñ duniyā meñ ab ham
hamārā koī bhī hamdam nahīñ hai
tujhe dekhā to aa.e in meñ aañsū
ye merī aañkh varna nam nahīñ hai
ye kaisā zaḳhm tum ne de diyā hai
ki is kā koī bhī marham nahīñ hai
tujhe paayā hai jab se maiñ ne jaanā
koī bhī paas mere ġham nahīñ hai
mirī barbādiyoñ pe hañsne vaalo
tumhāre paas meñ kyā ġham nahīñ hai
hameñ phir se madīne jaanā hogā
hamāre paas ab zamzam nahīñ hai
tumheñ 'naushād' ugāne hoñge sūraj
charāġhoñ meñ koī ab dam nahīñ hai
tumhein khone ka hum ko gham nahin hai
mila hai jo wo tum se kam nahin hai
bhale hi pyar ka mausam nahin hai
magar shikwa tumhaara kam nahin hai
faqat haara hun apne doston se
ki dushman mein to itna dam nahin hai
kise apna kahen duniya mein ab hum
hamara koi bhi hamdam nahin hai
tujhe dekha to aae in mein aansu
ye meri aankh warna nam nahin hai
ye kaisa zaKHm tum ne de diya hai
ki is ka koi bhi marham nahin hai
tujhe paya hai jab se main ne jaana
koi bhi pas mere gham nahin hai
meri barbaadiyon pe hansne walo
tumhaare pas mein kya gham nahin hai
hamein phir se madine jaana hoga
hamare pas ab zamzam nahin hai
tumhein 'naushad' ugane honge suraj
charaghon mein koi ab dam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.