Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu aasman main hun zamin man-digram-tu-digri

Hijr Moumin

tu aasman main hun zamin man-digram-tu-digri

Hijr Moumin

MORE BYHijr Moumin

    āsmāñ maiñ huuñ zamīñ man-dīgram-tū-dīgrī

    terā mirā rishta nahīñ man-dīgram-tū-dīgrī

    zinda-o-pā.inda hai maiñ ḳhaak huuñ mustahiq

    lā-makāñ hai makīñ man-dīgram-tū-dīgrī

    ai merī shāḳh-e-yāsmīñ tujh ko nahīñ mujh par yaqīñ

    mujh ko hai bas tujh par yaqīñ man-dīgram-tū-dīgrī

    dikhtī hai mujh ko har taraf allāh kārīgarī

    avval namūna haiñ hamīñ man-dīgram-tū-dīgrī

    sāmne kuchh aur hai kuchh aur hai ba.ad-azāñ

    kahnā mujhe hai āḳhirīñ man-dīgram-tū-dīgrī

    ham ho ga.e mahlūl ab ik dūsre meñ jān-e-jāñ

    tā-kas na goyad ba.ad-azīñ man-dīgram-tū-dīgrī

    haiñ raas mujh ko talḳhiyāñ tujh ko haiñ bhātī narmiyāñ

    maiñ aur yaksāñ nahīñ man-dīgram-tū-dīgrī

    tu aasman main hun zamin man-digram-tu-digri

    tera mera rishta nahin man-digram-tu-digri

    tu zinda-o-painda hai main KHak ka hun mustahiq

    tu la-makan ka hai makin man-digram-tu-digri

    ai meri shaKH-e-yasmin tujh ko nahin mujh par yaqin

    mujh ko hai bas tujh par yaqin man-digram-tu-digri

    dikhti hai mujh ko har taraf allah ki karigari

    awwal namuna hain hamin man-digram-tu-digri

    tu samne kuchh aur hai kuchh aur hai tu baad-azan

    kahna mujhe hai aaKHirin man-digram-tu-digri

    hum ho gae mahlul ab ek dusre mein jaan-e-jaan

    ta-kas na goyad baad-azin man-digram-tu-digri

    hain ras mujh ko talKHiyan tujh ko hain bhati narmiyan

    main aur tu yaksan nahin man-digram-tu-digri

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now