tu be-KHabar ho to kuchh haal-e-dil sunaun tujhe
tū be-ḳhabar ho to kuchh hāl-e-dil sunā.ūñ tujhe
jo zaḳhm tū ne diye haiñ maiñ kyā dikhā.ūñ tujhe
qarīb aa ke kabhī baiTh be-niyāz mire
ki merā terā ta'alluq hai kyā batā.ūñ tujhe
maiñ dhuup rok ke sūraj ke sāmne ho jā.ūñ
aur apnī chhāñv meñ ghar aa.e to biThā.ūñ tujhe
maiñ but-parast na patthar kā koī but hai tū
ye kyā ki tū na sune merī jab bulā.ūñ tujhe
kabhī mujhe mire kāñdhe pe haath rakh ke bulā
palaT ke dekhūñ to apne qarīb pā.ūñ tujhe
tū nuur hai to ujāloñ se merā ghar bhar de
ki shaam ho to diye kī tarah jalā.ūñ tujhe
sunā sunā ke mujhe qisse mat Darā mujh ko
tū ek sho'la sahī aa gale lagā.ūñ tujhe
lapeT rakkhā hai uñglī pe vaqt ko maiñ ne
azal dikhā.ūñ ki roz-e-abad dikhā.ūñ tujhe
vo hañs rahā hai pas-e-parda dekh kar mujh ko
ab aise apnā tamāsha bhī kyā dikhā.ūñ tujhe
maiñ apnā dil tire siine meñ ab ke rakh dūñgā
ye sochtā huuñ ki ik baar phir banā.ūñ tujhe
ye rāsta ki jidhar 'zeb' jā rahe haiñ ham
pata nahīñ mujhe ḳhud bhī to kyā batā.ūñ tujhe
tu be-KHabar ho to kuchh haal-e-dil sunaun tujhe
jo zaKHm tu ne diye hain main kya dikhaun tujhe
qarib aa ke kabhi baiTh be-niyaz mere
ki mera tera ta'alluq hai kya bataun tujhe
main dhup rok ke suraj ke samne ho jaun
aur apni chhanw mein ghar aae to biThaun tujhe
main but-parast na patthar ka koi but hai tu
ye kya ki tu na sune meri jab bulaun tujhe
kabhi mujhe mere kandhe pe hath rakh ke bula
palaT ke dekhun to apne qarib paun tujhe
tu nur hai to ujalon se mera ghar bhar de
ki sham ho to diye ki tarah jalaun tujhe
suna suna ke mujhe qisse mat Dara mujh ko
tu ek sho'la sahi aa gale lagaun tujhe
lapeT rakkha hai ungli pe waqt ko main ne
azal dikhaun ki roz-e-abad dikhaun tujhe
wo hans raha hai pas-e-parda dekh kar mujh ko
ab aise apna tamasha bhi kya dikhaun tujhe
main apna dil tere sine mein ab ke rakh dunga
ye sochta hun ki ek bar phir banaun tujhe
ye rasta ki jidhar 'zeb' ja rahe hain hum
pata nahin mujhe KHud bhi to kya bataun tujhe
- Book : Dheemi Aanch ka Sitaara (Pg. 20)
- Author : Zeb Ghauri
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.