tu hi tu hai main jidhar dekhun jahan tak dekhun
tū hī tū hai maiñ jidhar dekhūñ jahāñ tak dekhūñ
maiñ faqat ek hī tasvīr kahāñ tak dekhūñ
dil meñ ḳhud apne basā kar bhī yahī kahte ho
maiñ faqat ek hī tasvīr kahāñ tak dekhūñ
tāb-e-nazzāra kahāñ itnā ki sab kuchh dekhūñ
dīda-e-bīnā jahāñ tak hai vahāñ tak dekhūñ
kuchh to badle sahar-o-shām kī gardish yā-rab
kuchh na.ī rut na.e mausam ke samāñ tak dekhūñ
gardish-e-zīst bhī hai gardish-e-ayyām ke saath
tū hī batlā de ye gardish maiñ kahāñ tak dekhūñ
zindagī kā ye taqāza ki ho is se bartar
'aql kahtī hai faqat sūd-o-ziyāñ tak dekhūñ
kaise dekhūñ jo 'hasan' hadd-e-nazar se hai pare
us se hāsil hai bhalā kyā jo 'ayāñ tak dekhūñ
tu hi tu hai main jidhar dekhun jahan tak dekhun
main faqat ek hi taswir kahan tak dekhun
dil mein KHud apne basa kar bhi yahi kahte ho
main faqat ek hi taswir kahan tak dekhun
tab-e-nazzara kahan itna ki sab kuchh dekhun
dida-e-bina jahan tak hai wahan tak dekhun
kuchh to badle sahar-o-sham ki gardish ya-rab
kuchh nai rut nae mausam ke saman tak dekhun
gardish-e-zist bhi hai gardish-e-ayyam ke sath
tu hi batla de ye gardish main kahan tak dekhun
zindagi ka ye taqaza ki ho is se bartar
'aql kahti hai faqat sud-o-ziyan tak dekhun
kaise dekhun jo 'hasan' hadd-e-nazar se hai pare
us se hasil hai bhala kya jo 'ayan tak dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.