tu mile ya na mile zikr to tera hoga
tū mile yā na mile zikr to terā hogā
ham se tanhā na shab-e-ġham kā saverā hogā
vo jo ik shaḳhs pareshāñ hai judā hai tum se
us ko kuchh aur hī hālāt ne gherā hogā
is ghaḌī apnī nigāhoñ meñ basā le mujh ko
kal ḳhudā jaane kahāñ apnā baserā hogā
tum se mahrūmī kā ehsās jalā.egā mujhe
tum hī yaad aaoge jis dam koī merā hogā
shaam aa.e to samajhnā ki hamāre dil meñ
yaas kā dard judā.ī kā añdherā hogā
is liye jaltī huuñ har shaam kī tanhā.ī meñ
sochtī huuñ tirī rāhoñ meñ añdherā hogā
kis kī ḳhushbū liye phirtī hai zamāne meñ 'nasīm'
gul ke parde se suḳhan phir vahī terā hogā
tu mile ya na mile zikr to tera hoga
hum se tanha na shab-e-gham ka sawera hoga
wo jo ek shaKHs pareshan hai juda hai tum se
us ko kuchh aur hi haalat ne ghera hoga
is ghaDi apni nigahon mein basa le mujh ko
kal KHuda jaane kahan apna basera hoga
tum se mahrumi ka ehsas jalaega mujhe
tum hi yaad aaoge jis dam koi mera hoga
sham aae to samajhna ki hamare dil mein
yas ka dard judai ka andhera hoga
is liye jalti hun har sham ki tanhai mein
sochti hun teri rahon mein andhera hoga
kis ki KHushbu liye phirti hai zamane mein 'nasim'
gul ke parde se suKHan phir wahi tera hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.