tu ne dekha hai kabhi ishq ka mara koi
tū ne dekhā hai kabhī 'ishq kā maarā koī
ziist karne ke liye ziist se haarā koī
aise kartab bhī hameñ 'ishq ne dikhlā.e haiñ
chhat se laTkā thā koī aur utārā koī
jis tarah tiir nishāne pe lagā hai aa kar
saaf zāhir hai muqābil meñ hamārā koī
ek kamre meñ faqat maiñ huuñ junūñ hai sar hai
kaash dīvār kare mujh ko ishāra koī
saañs tham jaa.e to phir qabr meñ dhar ā.eñge
yā'nī jismoñ pe bhī rakhtā hai ijāra koī
tu ne dekha hai kabhi 'ishq ka mara koi
zist karne ke liye zist se haara koi
aise kartab bhi hamein 'ishq ne dikhlae hain
chhat se laTka tha koi aur utara koi
jis tarah tir nishane pe laga hai aa kar
saf zahir hai muqabil mein hamara koi
ek kamre mein faqat main hun junun hai sar hai
kash diwar kare mujh ko ishaara koi
sans tham jae to phir qabr mein dhar aaenge
ya'ni jismon pe bhi rakhta hai ijara koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.