tu ne jise banaya usko bigaD Dala
tū ne jise banāyā us ko bigāḌ Daalā
ai charḳh maiñ ne apnī ‘arzī ko phaaḌ Daalā
barbād kyā ajal ne mujh ko kiyā ye kahiye
rūh-e-ravāñ ne apne dāman ko jhaaḌ Daalā
dastār-o-pairahan gum aur jeb-o-kīsa ḳhālī
tahzīb-e-maġhribī ne ham ko chithāḌ Daalā
buniyād-e-dīñ havā-e-duniyā ne munhadim kī
tūfān ne shajar ko jaḌ se ukhāḌ Daalā
achchhā milā natīja mujh ko murāsalat kā
qāsid ko qatl kar ke naame ko phaaḌ Daalā
tu ne jise banaya us ko bigaD Dala
ai charKH main ne apni ‘arzi ko phaD Dala
barbaad kya ajal ne mujh ko kiya ye kahiye
ruh-e-rawan ne apne daman ko jhaD Dala
dastar-o-pairahan gum aur jeb-o-kisa KHali
tahzib-e-maghribi ne hum ko chithaD Dala
buniyaad-e-din hawa-e-duniya ne munhadim ki
tufan ne shajar ko jaD se ukhaD Dala
achchha mila natija mujh ko murasalat ka
qasid ko qatl kar ke name ko phaD Dala
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 71)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.