tu rafiq-e-jaan hai uzr kya mere sath chal mere sath aa

tu rafiq-e-jaan hai uzr kya mere sath chal mere sath aa
Shaad Fidai Dehlvi
MORE BYShaad Fidai Dehlvi
tū rafīq-e-jān hai 'uzr kyā mire saath chal mire saath aa
mirā ham-safar bhī to ban zarā mire saath chal mire saath aa
mire dost jānib-e-mai-kada mire saath chal mire saath aa
maiñ dikhā.ūñ rindoñ meñ pārsā mire saath chal mire saath aa
ye hai khel tīra-nasīb kā jo har ek chhoḌ ke chal diyā
mirā saaya bhī to na kah sakā mire saath chal mire saath aa
mirī vahshat aur baḌhā gayā vo bagūla kahtā guzar gayā
tujhe sahrā sahrā ghumā.ūñgā mire saath chal mire saath aa
maiñ fareb-e-dahr meñ aa gayā to mirā zamīr pukār uThā
tū zamāna-sāz na ban sakā mire saath chal mire saath aa
ye mirī ḳhudī ye mirī anā maiñ jahāñ khaḌā thā vahīñ rahā
mujhe vaqt kahtā hī rah gayā mire saath chal mire saath aa
vahāñ zikr-e-fikr-o-alam nahīñ vahāñ hādsoñ kā guzar nahīñ
ye kisī ne 'shād' nahīñ kahā mire saath chal mire saath aa
tu rafiq-e-jaan hai 'uzr kya mere sath chal mere sath aa
mera ham-safar bhi to ban zara mere sath chal mere sath aa
mere dost jaanib-e-mai-kada mere sath chal mere sath aa
main dikhaun rindon mein parsa mere sath chal mere sath aa
ye hai khel tira-nasib ka jo har ek chhoD ke chal diya
mera saya bhi to na kah saka mere sath chal mere sath aa
meri wahshat aur baDha gaya wo bagula kahta guzar gaya
tujhe sahra sahra ghumaunga mere sath chal mere sath aa
main fareb-e-dahr mein aa gaya to mera zamir pukar uTha
tu zamana-saz na ban saka mere sath chal mere sath aa
ye meri KHudi ye meri ana main jahan khaDa tha wahin raha
mujhe waqt kahta hi rah gaya mere sath chal mere sath aa
wahan zikr-e-fikr-o-alam nahin wahan hadson ka guzar nahin
ye kisi ne 'shad' nahin kaha mere sath chal mere sath aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.