tu to bilkul patthar sa hai
tū to bilkul patthar sā hai
par mujh ko achchhā lagtā hai
tere shahr meñ kyā rakkhā hai
dil mujh ko phir le aayā hai
saarī galiyāñ ghuum chukā huuñ
terī galī se Dar lagtā hai
ab in saḌkoñ par tanhā huuñ
jin par kabhī tū saath chalā hai
chāñd ko dekh ke mujh ko hamesha
yaad tirā chehrā aatā hai
chāñd bādaloñ meñ chhup-chhup kar
mujh ko tang bahut kartā hai
paanī jis ko samajh rahā thā
vo to nazar kā ik dhokā hai
tujh ko maiñ kab bhuul sakā huuñ
tū to mujh ko bhuul chukā hai
yādeñ bhī kyā chiiz haiñ 'sādiq'
haal burā dil kā hotā hai
tu to bilkul patthar sa hai
par mujh ko achchha lagta hai
tere shahr mein kya rakkha hai
dil mujh ko phir le aaya hai
sari galiyan ghum chuka hun
teri gali se Dar lagta hai
ab in saDkon par tanha hun
jin par kabhi tu sath chala hai
chand ko dekh ke mujh ko hamesha
yaad tera chehra aata hai
chand baadalon mein chhup-chhup kar
mujh ko tang bahut karta hai
pani jis ko samajh raha tha
wo to nazar ka ek dhoka hai
tujh ko main kab bhul saka hun
tu to mujh ko bhul chuka hai
yaaden bhi kya chiz hain 'sadiq'
haal bura dil ka hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.