tufan mein phans gaya koi chaara nahin mila
tūfāñ meñ phañs gayā koī chāra nahīñ milā
kashtī agar milī to kinārā nahīñ milā
us ne uThā ke haath bulāyā to thā magar
maiñ DhūñDhne gayā to bechāra nahīñ milā
lākhoñ ġhamoñ ke ham pe to sandūq khul paḌe
qismat jo khol de vo piTārā nahīñ milā
ham kyā kareñ kisī se haqīqat kī baat jab
ḳhvāboñ meñ bhī jise thā pukārā nahīñ milā
ham ko to us gunāh kī bhī mil ga.ī sazā
jis meñ koī qusūr hamārā nahīñ milā
himmat ko bāñdh ḳhud hī vo aage nikal paḌā
jab 'arz' ko koī bhī sahārā nahīñ milā
tufan mein phans gaya koi chaara nahin mila
kashti agar mili to kinara nahin mila
us ne uTha ke hath bulaya to tha magar
main DhunDhne gaya to bechaara nahin mila
lakhon ghamon ke hum pe to sanduq khul paDe
qismat jo khol de wo piTara nahin mila
hum kya karen kisi se haqiqat ki baat jab
KHwabon mein bhi jise tha pukara nahin mila
hum ko to us gunah ki bhi mil gai saza
jis mein koi qusur hamara nahin mila
himmat ko bandh KHud hi wo aage nikal paDa
jab 'arz' ko koi bhi sahaara nahin mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.