Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tur tha kaba tha dil tha jalwa-zar-e-yar tha

Firaq Gorakhpuri

tur tha kaba tha dil tha jalwa-zar-e-yar tha

Firaq Gorakhpuri

MORE BYFiraq Gorakhpuri

    tuur thā ka.aba thā dil thā jalva-zār-e-yār thā

    ishq sab kuchh thā magar phir ālam-e-asrār thā

    nashsha-e-sad-jām kaif-e-intizār-e-yār thā

    hijr meñ Thahrā huā dil sāġhar-e-sarshār thā

    alvidā.a ai bazm-e-anjum hijr shab al-firāq

    tā-ba-daur-e-zindagānī intizār-e-yār thā

    ek adā se be-niyāz-e-qurb-o-dūrī kar diyā

    māvrā-e-vasl-o-hijrāñ husn iqrār thā

    jauhar-e-ā.īna-e-ālam bane aañsū mire

    yuuñ to sach ye hai ki ronā ishq meñ bekār thā

    shoḳhī-e-raftār vaj.h-e-hastī-e-barbād thī

    zindagī kyā thī ġhubār-e-rahguzār-e-yār thā

    ulfat-e-derīna jab zikr ishāroñ meñ kiyā

    muskurā kar mujh se pūchhā tum ko kis se pyaar thā

    dil-dukhe ro.e haiñ shāyad is jagah ai kū-e-dost

    ḳhaak itnā chamak jaanā zarā dushvār thā

    zarra zarra aa.ina thā ḳhud-numā.ī 'firāq'

    sar-ba-sar sahrā-e-ālam jalva-zār-e-yār thā

    tur tha kaba tha dil tha jalwa-zar-e-yar tha

    ishq sab kuchh tha magar phir aalam-e-asrar tha

    nashsha-e-sad-jam kaif-e-intizar-e-yar tha

    hijr mein Thahra hua dil saghar-e-sarshaar tha

    alwidaa ai bazm-e-anjum hijr ki shab al-firaq

    ta-ba-daur-e-zindagani intizar-e-yar tha

    ek ada se be-niyaz-e-qurb-o-duri kar diya

    mawra-e-wasl-o-hijran husn ka iqrar tha

    jauhar-e-aina-e-alam bane aansu mere

    yun to sach ye hai ki rona ishq mein bekar tha

    shoKHi-e-raftar wajh-e-hasti-e-barbaad thi

    zindagi kya thi ghubar-e-rahguzar-e-yar tha

    ulfat-e-derina ka jab zikr ishaaron mein kiya

    muskura kar mujh se puchha tum ko kis se pyar tha

    dil-dukhe roe hain shayad is jagah ai ku-e-dost

    KHak ka itna chamak jaana zara dushwar tha

    zarra zarra aaina tha KHud-numai ka 'firaq'

    sar-ba-sar sahra-e-alam jalwa-zar-e-yar tha

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    tur tha kaba tha dil tha jalwa-zar-e-yar tha Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now