Tut jaane pe jo phir KHun rulate hain hamein
Tuut jaane pe jo phir ḳhuun rulāte haiñ hameñ
aap kyuuñ aise bhalā ḳhvāb dikhāte haiñ hameñ
ye to ham haiñ ki yaqīñ rakhte haiñ tujh par varna
log kyā kyā nahīñ aa aa ke batāte haiñ hameñ
jab dar-e-dil pe utartī hai koī vasl kī rut
mausam-e-hijr ke andeshe satāte haiñ hameñ
raat so jaa.e to phir chāñd sitāre aa kar
haft aflāk ke afsāne sunāte haiñ hameñ
chashm-e-bedār ki hai mahv-e-tamāshā-e-junūñ
aañkh lag jaa.e to phir ḳhvāb Darāte haiñ hameñ
jaan le kar hī Talegī tū hamāre sar se
zindagānī tire andāz batāte haiñ hameñ
Tut jaane pe jo phir KHun rulate hain hamein
aap kyun aise bhala KHwab dikhate hain hamein
ye to hum hain ki yaqin rakhte hain tujh par warna
log kya kya nahin aa aa ke batate hain hamein
jab dar-e-dil pe utarti hai koi wasl ki rut
mausam-e-hijr ke andeshe satate hain hamein
raat so jae to phir chand sitare aa kar
haft aflak ke afsane sunate hain hamein
chashm-e-bedar ki hai mahw-e-tamasha-e-junun
aankh lag jae to phir KHwab Daraate hain hamein
jaan le kar hi Talegi tu hamare sar se
zindagani tere andaz batate hain hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.