Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

TuT ke patthar girte rahte hain din raat chaTanon se

Sarfaraz Amir

TuT ke patthar girte rahte hain din raat chaTanon se

Sarfaraz Amir

MORE BYSarfaraz Amir

    TuuT ke patthar girte rahte haiñ din raat chaTānoñ se

    sāvan barsāt sūrat barseñ tiir kamānoñ se

    kaale kosoñ duur se āḳhir laa.e bhī to phul-jhaḌiyāñ

    hiire bhī to mil sake the soch gahrī kānoñ se

    is rañgīñ bāzār meñ koī kyā ḳhushbū dhyān kare

    phūloñ ko maalī bhī parkhe rañgoñ ke paimānoñ se

    raat sahar khoj meñ kitne diip jalā kar nikle the

    kitne taare lauT ke aa.e haiñ kaale vīrānoñ se

    taptī dhuup meñ kab se mūrakh aas lagā.e baiThā hai

    chashme phuuT ke ba nikleñge retīle maidānoñ se

    biitī ḳhushiyāñ bhī ab dhyān meñ aane se katrātī haiñ

    raat ko log guzarte haiñ haT kar vīrān makānoñ se

    'āmir' kaisā din guzrā hai aur ye kaisī shaam huī

    pahroñ ḳhuun Tapakte dekhā sūraj shiryānoñ se

    TuT ke patthar girte rahte hain din raat chaTanon se

    sawan ki barsat ki surat barsen tir kamanon se

    kale koson dur se aaKHir lae bhi to phul-jhaDiyan

    hire bhi to mil sake the soch ki gahri kanon se

    is rangin bazar mein koi kya KHushbu ka dhyan kare

    phulon ko mali bhi parkhe rangon ke paimanon se

    raat sahar ki khoj mein kitne dip jala kar nikle the

    kitne tare lauT ke aae hain kale viranon se

    tapti dhup mein kab se murakh aas lagae baiTha hai

    chashme phuT ke ba niklenge retile maidanon se

    biti KHushiyan bhi ab dhyan mein aane se katraati hain

    raat ko log guzarte hain haT kar viran makanon se

    'amir' kaisa din guzra hai aur ye kaisi sham hui

    pahron KHun Tapakte dekha suraj ki shiryanon se

    Source :
    • Book : auraq salnama magazines (Pg. 529)
    • Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
    • Publication : auraq salnama magazines (1967)
    • Edition : 1967
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now