uDa kar sahn-e-gulshan se miTa kar aashiyan mera

uDa kar sahn-e-gulshan se miTa kar aashiyan mera
Chakbast Braj Narayan
MORE BYChakbast Braj Narayan
uḌā kar sahn-e-gulshan se miTā kar āshiyāñ merā
mire saa.e ke pīchhe phir rahā hai bāġhbāñ merā
mire ahbāb pesh aate haiñ mujh se bevafā.ī se
vafādārī meñ shāyad kar rahe haiñ imtihāñ merā
hujūm-e-be-kasī hai shām-e-tanhā.ī hai aur maiñ huuñ
sadā-e-chārāgar barham na kar de ye samāñ merā
safā-e-qalb se allāh re insān kī 'azmat
farishte chūmte haiñ aa ke sang-e-āstāñ merā
mujhe dair-o-haram se vāsta kyā rind-mashrab huuñ
vahī īmān hai jo kuchh kahe pīr-e-muġhāñ merā
uDa kar sahn-e-gulshan se miTa kar aashiyan mera
mere sae ke pichhe phir raha hai baghban mera
mere ahbab pesh aate hain mujh se bewafai se
wafadari mein shayad kar rahe hain imtihan mera
hujum-e-be-kasi hai sham-e-tanhai hai aur main hun
sada-e-chaaragar barham na kar de ye saman mera
safa-e-qalb se allah re insan ki 'azmat
farishte chumte hain aa ke sang-e-astan mera
mujhe dair-o-haram se wasta kya rind-mashrab hun
wahi iman hai jo kuchh kahe pir-e-mughan mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.