udas dil ke pas intizam kaise aa gaya
udaas dil ke paas intizām kaise aa gayā
ye 'ain dopahar meñ vaqt-e-shām kaise aa gayā
kinār-e-jū maiñ so rahā thā apnā jaal pheñk kar
mirī giraft meñ mah-e-tamām kaise aa gayā
palaT paḌā huuñ maiñ to un ko is pe e'tirāz hai
shafaq ke phuul toḌ kar ġhulām kaise aa gayā
maiñ aadhe rāste se hī palaT paḌā na huuñ kahīñ
vagarna us taraf se maiñ tamām kaise aa gayā
khiñchā nahīñ hai daar par to baat kaise ban ga.ī
hujūm se nikal ke ye ġhulām kaise aa gayā
udas dil ke pas intizam kaise aa gaya
ye 'ain dopahar mein waqt-e-sham kaise aa gaya
kinar-e-ju main so raha tha apna jal phenk kar
meri giraft mein mah-e-tamam kaise aa gaya
palaT paDa hun main to un ko is pe e'tiraaz hai
shafaq ke phul toD kar ghulam kaise aa gaya
main aadhe raste se hi palaT paDa na hun kahin
wagarna us taraf se main tamam kaise aa gaya
khincha nahin hai dar par to baat kaise ban gai
hujum se nikal ke ye ghulam kaise aa gaya
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 100)
- Author : Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.