udas raat ka manzar hamari aankh mein tha

udas raat ka manzar hamari aankh mein tha
Mohammad Hasnain Parwez
MORE BYMohammad Hasnain Parwez
udaas raat kā manzar hamārī aañkh meñ thā
par ek ḳhvāb barābar hamārī aañkh meñ thā
Tapak rahe the musalsal hī aañkh se aañsū
ye kis kī yaad kā kankar hamārī aañkh meñ thā
hamāre dil meñ tasalsul se rah nahīñ paayā
vo jis kā naqsh-e-mukarrar hamārī aañkh meñ thā
hasīn lams kī ḳhvāhish hamāre dil meñ thī
hasīn shaḳhs kā paikar hamārī aañkh meñ thā
agarche tark-e-ta'alluq ko 'arsa biit gayā
magar vo shaḳhs barābar hamārī aañkh meñ thā
vo ab jo ġhair kī āñkhoñ meñ jagmagātā hai
kabhī vo shaḳhs mayassar hamārī aañkh meñ thā
har ek mauj kināre pe aa ke rotī thī
'ajab tarah kā samundar hamārī aañkh meñ thā
udas raat ka manzar hamari aankh mein tha
par ek KHwab barabar hamari aankh mein tha
Tapak rahe the musalsal hi aankh se aansu
ye kis ki yaad ka kankar hamari aankh mein tha
hamare dil mein tasalsul se rah nahin paya
wo jis ka naqsh-e-mukarrar hamari aankh mein tha
hasin lams ki KHwahish hamare dil mein thi
hasin shaKHs ka paikar hamari aankh mein tha
agarche tark-e-ta'alluq ko 'arsa bit gaya
magar wo shaKHs barabar hamari aankh mein tha
wo ab jo ghair ki aankhon mein jagmagata hai
kabhi wo shaKHs mayassar hamari aankh mein tha
har ek mauj kinare pe aa ke roti thi
'ajab tarah ka samundar hamari aankh mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.