ulfat ki faqat meri itni si kahani hai
ulfat ki faqat meri itni si kahani hai
Mohammad Zafar Siddiqui
MORE BYMohammad Zafar Siddiqui
ulfat kī faqat merī itnī sī kahānī hai
ye ashk nahīñ us ke dhoke kī nishānī hai
nazreñ bhī nahīñ ab to vo yaar milātā hai
thā pyaar kabhī us ko ye baat purānī hai
maġhrūr na ho apne is husn pe tū itnā
ye ziist ke dariyā kā bahtā huā paanī hai
afsos nahīñ mujh ko tū bhuul gayā lekin
yādoñ meñ tirī mujh ko ye 'umr bitānī hai
ab zikr-e-mohabbat kyoñ karte ho 'zafar' ham se
jhūTī ye mohabbat hai jhūTī ye kahānī hai
ulfat ki faqat meri itni si kahani hai
ye ashk nahin us ke dhoke ki nishani hai
nazren bhi nahin ab to wo yar milata hai
tha pyar kabhi us ko ye baat purani hai
maghrur na ho apne is husn pe tu itna
ye zist ke dariya ka bahta hua pani hai
afsos nahin mujh ko tu bhul gaya lekin
yaadon mein teri mujh ko ye 'umr bitani hai
ab zikr-e-mohabbat kyon karte ho 'zafar' hum se
jhuTi ye mohabbat hai jhuTi ye kahani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.