uljhe hue resham ko suljhata raha
uljhe hue resham ko suljhātā rahā
dast-e-hunar kuchh kaam to aatā rahā
sayyād ko thā naaz tīroñ par magar
bulbul koī phir baaġh meñ gaatā rahā
us dard ke dariyā ko vo jānegā kyā
jo zaat ke girdāb meñ jaatā rahā
pūchhā kisī ne hāl-e-dil merā agar
hañste hue siine ko sahlātā rahā
mujh ko to apnī chāhatoñ kā thā bharam
vo nafratoñ par apnī itrātā rahā
kar ke daġhā kuchh terī yādoñ se 'valīd'
jo sach kahūñ duniyā ke ġham khātā rahā
uljhe hue resham ko suljhata raha
dast-e-hunar kuchh kaam to aata raha
sayyaad ko tha naz tiron par magar
bulbul koi phir bagh mein gata raha
us dard ke dariya ko wo jaanega kya
jo zat ke girdab mein jata raha
puchha kisi ne haal-e-dil mera agar
hanste hue sine ko sahlata raha
mujh ko to apni chahaton ka tha bharam
wo nafraton par apni itraata raha
kar ke dagha kuchh teri yaadon se 'walid'
jo sach kahun duniya ke gham khata raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.