ummidon ko aag lagae rasta khole baiTha hun
ummīdoñ ko aag lagā.e rasta khole baiThā huuñ
merā 'ishq use piñjra thā piñjra khole baiThā huuñ
chāhe mujh ko shā'ir bolo chāhe mujh ko dīvāna
haath meñ kuchh ġhazloñ ko thāme māthā khole baiThā huuñ
vo ab jaane kis kī ḳhātir zulfeñ khole phirtī hai
maiñ ab jaane kis kī ḳhātir siina khole baiThā huuñ
dil koī kashkol hai thoḌī jo ḳhairāt se bhar jaa.e
kul īmān sameTe aao kā'ba khole baiThā huuñ
kaun ḳhudā tārīḳh se laḌ kar ḳhauf kā baab nikālegā
ḳhuun se lat-pat laash pe baiThā basta khole baiThā huuñ
haa.e kyā tūfān chhupā phirtā thā merī nas nas meñ
ek kalā.ī kaaT ke bahtā dariyā khole baiThā huuñ
ummidon ko aag lagae rasta khole baiTha hun
mera 'ishq use pinjra tha pinjra khole baiTha hun
chahe mujh ko sha'ir bolo chahe mujh ko diwana
hath mein kuchh ghazlon ko thame matha khole baiTha hun
wo ab jaane kis ki KHatir zulfen khole phirti hai
main ab jaane kis ki KHatir sina khole baiTha hun
dil koi kashkol hai thoDi jo KHairaat se bhar jae
kul iman sameTe aao ka'ba khole baiTha hun
kaun KHuda tariKH se laD kar KHauf ka bab nikalega
KHun se lat-pat lash pe baiTha basta khole baiTha hun
hae kya tufan chhupa phirta tha meri nas nas mein
ek kalai kaT ke bahta dariya khole baiTha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.