umr bhar main to amanat mein KHayanat na karun
'umr bhar maiñ to amānat meñ ḳhayānat na karūñ
sabr aur shukr karūñ terī shikāyat na karūñ
dard mazlūm kā siine meñ basā luuñ apne
bhuul kar bhī kabhī zālim kī himāyat na karūñ
terī marzī meñ hī shāmil rahe marzī merī
kaam koī bhī binā terī ijāzat na karūñ
zaḳhm khā kar bhī du'ā denā hai fitrat apnī
dushmanoñ se bhī kabhī maiñ to 'adāvat na karūñ
ye mire sabr kī hai āḳhirī manzil jānāñ
zulm par zulm sahūñ aur shikāyat na karūñ
saare bachche mire ik saath raheñge ghar meñ
zinda jab tak rahūñ taqsīm virāsat na karūñ
us kī chāhat ne mujhe zinda rakhā hai 'mehrū'
mar hī jā.ūñgī agar us se mohabbat na karūñ
'umr bhar main to amanat mein KHayanat na karun
sabr aur shukr karun teri shikayat na karun
dard mazlum ka sine mein basa lun apne
bhul kar bhi kabhi zalim ki himayat na karun
teri marzi mein hi shamil rahe marzi meri
kaam koi bhi bina teri ijazat na karun
zaKHm kha kar bhi du'a dena hai fitrat apni
dushmanon se bhi kabhi main to 'adawat na karun
ye mere sabr ki hai aaKHiri manzil jaanan
zulm par zulm sahun aur shikayat na karun
sare bachche mere ek sath rahenge ghar mein
zinda jab tak rahun taqsim wirasat na karun
us ki chahat ne mujhe zinda rakha hai 'mehru'
mar hi jaungi agar us se mohabbat na karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.