Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umr guzri in buton ke wasl ki tadbir mein

Aashiq Husain Bazm Afandi

umr guzri in buton ke wasl ki tadbir mein

Aashiq Husain Bazm Afandi

MORE BYAashiq Husain Bazm Afandi

    umr guzrī in butoñ ke vasl tadbīr meñ

    kyā ḳhabar mujh ko ye patthar the mirī taqdīr meñ

    paak kar ke is ko qātil lahū khātā hai josh

    ġhair ke ḳhuuñ ke haiñ dhabbe dāman-e-shamshīr meñ

    balkī letā hai muqaddar mujh se kyoñ har martaba

    bal hai un zulf kyā gesū-e-taqdīr meñ

    hijr-e-zulf-e-yār meñ is darja huuñ zār-o-nahīf

    hai farāġhat se guzar ab ḳhāna-e-zanjīr meñ

    aaj tak ḳhārish nahīñ zaḳhm-e-jigar kam huī

    kis qayāmat mazā thā nāḳhun-e-shamshīr meñ

    kis tarah be-qatl ke aa.e mujhe ārām-o-chain

    shakl maqsad to hai ā.īna-e-shamshīr meñ

    qalb meñ paivast paikāñ bhī isī sūrat se ho

    jaise baiThī hai sirī ai turk tere tiir meñ

    jin ke dil faulād haiñ ġham asar un pe ho kyā

    ashk kab dekhe kisī ne dīda-e-zanjīr meñ

    is za.īfī meñ ḳhatā kartā nahīñ tīr-e-sitam

    haiñ abhī kas-bal javānoñ ke se charḳh-e-pīr meñ

    vāqa.ī dil ḳhatā hai āshiq-e-mizhgāñ huā

    is ko kuchh tambīh kar diije zabān-e-tīr meñ

    mehr-o-ulfat mahal us but ke rahne maqām

    manzil-e-dil bhī hai kyā manzil mirī ta.amīr meñ

    ashk-e-ḳhūñ nāshādī-e-ushshāq par roī hai ye

    ḳhuun ke dhabbe nahīñ haiñ yaar shamshīr meñ

    kisht-e-vahshat par agar barsā.e vo āb-e-karam

    kopaleñ phūTeñ abhī har dāna-e-zanjīr meñ

    ek din ke dard-e-furqat ne ye naqsha kar diyā

    ho ga.ī begānagī mujh meñ mirī tasvīr meñ

    dekhiye qismat ḳhūbī kuchh paḌhā jaatā nahīñ

    us ne naama bhī jo likkhā to ḳhat-e-taqdīr meñ

    aarzū hai 'bazm' ḳhāliq vo din laa.e kahīñ

    marsiya kar paḌhūñ maiñ rauza-e-shabbīr meñ

    umr guzri in buton ke wasl ki tadbir mein

    kya KHabar mujh ko ye patthar the meri taqdir mein

    pak kar ke is ko la qatil lahu khata hai josh

    ghair ke KHun ke hain dhabbe daman-e-shamshir mein

    balki leta hai muqaddar mujh se kyon har martaba

    bal hai un ki zulf ka kya gesu-e-taqdir mein

    hijr-e-zulf-e-yar mein is darja hun zar-o-nahif

    hai faraghat se guzar ab KHana-e-zanjir mein

    aaj tak KHarish nahin zaKHm-e-jigar ki kam hui

    kis qayamat ka maza tha naKHun-e-shamshir mein

    kis tarah be-qatl ke aae mujhe aaram-o-chain

    shakl maqsad ki to hai aaina-e-shamshir mein

    qalb mein paiwast paikan bhi isi surat se ho

    jaise baiThi hai siri ai turk tere tir mein

    jin ke dil faulad hain gham ka asar un pe ho kya

    ashk kab dekhe kisi ne dida-e-zanjir mein

    is zaifi mein KHata karta nahin tir-e-sitam

    hain abhi kas-bal jawanon ke se charKH-e-pir mein

    waqai dil ki KHata hai aashiq-e-mizhgan hua

    is ko kuchh tambih kar dije zaban-e-tir mein

    mehr-o-ulfat ka mahal us but ke rahne ka maqam

    manzil-e-dil bhi hai kya manzil meri tamir mein

    ashk-e-KHun nashadi-e-ushshaq par roi hai ye

    KHun ke dhabbe nahin hain yar ki shamshir mein

    kisht-e-wahshat par agar barsae wo aab-e-karam

    kopalen phuTen abhi har dana-e-zanjir mein

    ek din ke dard-e-furqat ne ye naqsha kar diya

    ho gai beganagi mujh mein meri taswir mein

    dekhiye qismat ki KHubi kuchh paDha jata nahin

    us ne nama bhi jo likkha to KHat-e-taqdir mein

    aarzu hai 'bazm' ki KHaliq wo din lae kahin

    marsiya ja kar paDhun main rauza-e-shabbir mein

    Source:

    Ayagh-e-Bazm (Pg. 132)

    • Author: Aashiq Husain Bazm Afandi
      • Publisher: Agra Akhbar Press, Agra
      • Year of Publication: 1927
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now