Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umr mein us se baDi thi lekin pahle TuT ke bikhri main

Kishwar Naheed

umr mein us se baDi thi lekin pahle TuT ke bikhri main

Kishwar Naheed

MORE BYKishwar Naheed

    umr meñ us se baḌī thī lekin pahle TuuT ke bikhrī maiñ

    sāhil sāhil jazbe the aur dariyā dariyā pahuñchī maiñ

    shahr meñ us ke naam ke jitne shaḳhs the sab achchhe the

    sub.h-e-safar to dhund bahut thī dhūpeñ ban kar niklī maiñ

    us hathelī ke dāman meñ saare mausam simTe the

    us ke haath meñ jaagī maiñ aur us ke haath se ujlī maiñ

    ik muTThī tārīkī meñ thā ik muTThī se baḌh kar pyaar

    lams ke jugnū pallū bāñdhe ziina ziina utrī maiñ

    us ke āñgan meñ khultā thā shahr-e-murād darvāza

    kueñ ke paas se ḳhālī gāgar haath meñ le kar palTī maiñ

    maiñ ne jo sochā thā yuuñ to us ne bhī vahī sochā thā

    din niklā to vo bhī nahīñ thā aur maujūd nahīñ thī maiñ

    lamha lamha jaañ pighlegī qatra qatra shab hogī

    apne haath larazte dekhe apne-āp sambhalī maiñ

    umr mein us se baDi thi lekin pahle TuT ke bikhri main

    sahil sahil jazbe the aur dariya dariya pahunchi main

    shahr mein us ke nam ke jitne shaKHs the sab hi achchhe the

    subh-e-safar to dhund bahut thi dhupen ban kar nikli main

    us ki hatheli ke daman mein sare mausam simTe the

    us ke hath mein jagi main aur us ke hath se ujli main

    ek muTThi tariki mein tha ek muTThi se baDh kar pyar

    lams ke jugnu pallu bandhe zina zina utri main

    us ke aangan mein khulta tha shahr-e-murad ka darwaza

    kuen ke pas se KHali gagar hath mein le kar palTi main

    main ne jo socha tha yun to us ne bhi wahi socha tha

    din nikla to wo bhi nahin tha aur maujud nahin thi main

    lamha lamha jaan pighlegi qatra qatra shab hogi

    apne hath larazte dekhe apne-ap hi sambhali main

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Kishwar Naheed

    Kishwar Naheed

    RECITATIONS

    Kishwar Naheed

    Kishwar Naheed,

    Kishwar Naheed

    umr mein us se baDi thi lekin pahle TuT ke bikhri main Kishwar Naheed

    Source:

    kulliyat dusht-e-qais main laila (Pg. 680)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now