un aankhon mein aks kabhi tu apna dekh na paega
un āñkhoñ meñ 'aks kabhī tū apnā dekh na pā.egā
is hasrat meñ ai dil ik din patthar kā ho jā.egā
shahzādoñ kī prem-kahānī afsāna ban jaatī hai
terī merī bāteñ paglī kaun yahāñ dohrā.egā
apnī mahfil jamtī hai ab shahr ke coffē house meñ
gaaoñ kī chaupāl pe aa kar kaun alaav lagā.egā
'ishq nagar meñ rahne ke ādāb zarūrī hote haiñ
pahle tum ko ḳhāmoshī kā raag sunāyā jā.egā
itnā bhī bekār na samjho yād-e-māzī ko 'nādir'
ye tinkā hī ek na ik din dariyā paar karā.egā
un aankhon mein 'aks kabhi tu apna dekh na paega
is hasrat mein ai dil ek din patthar ka ho jaega
shahzadon ki prem-kahani afsana ban jati hai
teri meri baaten pagli kaun yahan dohraega
apni mahfil jamti hai ab shahr ke coffee house mein
gaon ki chaupal pe aa kar kaun alaw lagaega
'ishq nagar mein rahne ke aadab zaruri hote hain
pahle tum ko KHamoshi ka rag sunaya jaega
itna bhi bekar na samjho yaad-e-mazi ko 'nadir'
ye tinka hi ek na ek din dariya par karaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.