Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

un ke is kufr-e-bayan se kitne afsane bane hain

Urooj Zaidi Badayuni

un ke is kufr-e-bayan se kitne afsane bane hain

Urooj Zaidi Badayuni

MORE BYUrooj Zaidi Badayuni

    Interesting Fact

    A Ghazal in the meter Ramal Musamman Saalim, which is not very popular in Urdu.

    un ke is kufr-e-bayāñ se kitne afsāne bane haiñ

    aap dīvāne nahīñ haiñ aap dīvāne bane haiñ

    jab havā ruḳh zarā badlā to afsāne bane haiñ

    ḳhuun rishta thā jin se vo bhī begāne bane haiñ

    ham to nām-e-dost ko gin gin ke lenā kufr samjhe

    zāhidoñ ke vāste tasbīh ke daane bane haiñ

    husn jazb-o-asar kyā ā.ina-sāmāñ nahīñ hai

    sham.a nādīda hai lekin log parvāne bane haiñ

    maut se Takrā ke jiinā un shān-e-zindagī hai

    harche bādā-bād kahne vaale dīvāne bane haiñ

    inqilāb-e-vaqt se pahle duniyā ab kahāñ hai

    jin meñ raqsāñ chāñdnī thī vo siyah-ḳhāne bane haiñ

    ham meñ kuchh apnī jagah haiñ dānish-o-bīnish se aarī

    aur banñe ye aalam hai ki farzāne bane haiñ

    bahs hai is mas.ale par ḳhalvatoñ meñ jalvatoñ meñ

    kis ne dīvāna banāyā kitne dīvāne bane haiñ

    jis tarah har phuul ḳhushbū alag rangat judā hai

    fitrat-e-insāñ bhī yūñhī apne begāne bane haiñ

    us ke hote sāġhar-o-sahbā gunjā.ish nahīñ hai

    jis āñkhoñ ke namūne par maiḳhāne bane haiñ

    ham haqīqat haqīqat haiñ 'urūj' is ḳhāk-dāñ meñ

    is haqīqat ko bhulā dene se afsāne bane haiñ

    un ke is kufr-e-bayan se kitne afsane bane hain

    aap diwane nahin hain aap diwane bane hain

    jab hawa ka ruKH zara badla to afsane bane hain

    KHun ka rishta tha jin se wo bhi begane bane hain

    hum to nam-e-dost ko gin gin ke lena kufr samjhe

    zahidon ke waste tasbih ke dane bane hain

    husn ka jazb-o-asar kya aaina-saman nahin hai

    shama nadida hai lekin log parwane bane hain

    maut se Takra ke jina un ki shan-e-zindagi hai

    harche baada-baad kahne wale diwane bane hain

    inqilab-e-waqt se pahle ki duniya ab kahan hai

    jin mein raqsan chandni thi wo siyah-KHane bane hain

    hum mein kuchh apni jagah hain danish-o-binish se aari

    aur banne ka ye aalam hai ki farzane bane hain

    bahs hai is masale par KHalwaton mein jalwaton mein

    kis ne diwana banaya kitne diwane bane hain

    jis tarah har phul ki KHushbu alag rangat juda hai

    fitrat-e-insan bhi yunhi apne begane bane hain

    us ke hote saghar-o-sahba ki gunjaish nahin hai

    jis ki aankhon ke namune par hi maiKHane bane hain

    hum haqiqat hi haqiqat hain 'uruj' is KHak-dan mein

    is haqiqat ko bhula dene se afsane bane hain

    Source:

    Lahje ke Chiraag (Pg. 135)

    • Author: Urooj Zaidi
      • Edition: 1989
      • Publisher: Irfan Zaidi, Rampur
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now