Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

unki fitrat usko kahiye ya ki fitrat ka usul

Arshad Kakvi

unki fitrat usko kahiye ya ki fitrat ka usul

Arshad Kakvi

MORE BYArshad Kakvi

    un fitrat us ko kahiye ki fitrat usuul

    Duub jaate haiñ sitāre aur bikhar jaate haiñ phuul

    ik nazar kyā haqīqat hai magar ai dosto

    umr bhar maut ban jaatī hai ik lamhe bhuul

    ham to haiñ un mahfiloñ ke aaj tak maare hue

    jin meñ naġhmoñ hai shorish jin meñ zulfoñ hai dhuul

    aur jo kuchh bhī hai un ke darmiyāñ vo hai garāñ

    zindagī arzāñ hai aur hai maut bhī sahlul-husūl

    aaj tak dahkī huī siine meñ hai aariz aag

    dil meñ ab tak chubh rahe haiñ un palkoñ ke babūl

    de rahe haiñ is tarah vo 'kākavī'-sāhab daad

    pūchhte haiñ aap ke ash.ār shān-e-nuzūl

    un ki fitrat us ko kahiye ya ki fitrat ka usul

    Dub jate hain sitare aur bikhar jate hain phul

    ek nazar ki kya haqiqat hai magar ai dosto

    umr bhar ki maut ban jati hai ek lamhe ki bhul

    hum to hain un mahfilon ke aaj tak mare hue

    jin mein naghmon ki hai shorish jin mein zulfon ki hai dhul

    aur jo kuchh bhi hai un ke darmiyan wo hai garan

    zindagi arzan hai aur hai maut bhi sahlul-husul

    aaj tak dahki hui sine mein hai aariz ki aag

    dil mein ab tak chubh rahe hain un ki palkon ke babul

    de rahe hain is tarah wo 'kakawi'-sahab ki dad

    puchhte hain aap ke ashaar ki shan-e-nuzul

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 52)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now