unki surat hamein aai thi pasand aankhon se
un kī sūrat hameñ aa.ī thī pasand āñkhoñ se
aur phir ho ga.ī bālā-o-buland āñkhoñ se
koī zanjīr nahīñ tār-e-nazar se mazbūt
ham ne us chāñd pe Daalī hai kamand āñkhoñ se
Thahr saktī hai kahāñ us ruḳh-e-tābāñ pe nazar
dekh saktā hai use aadmī band āñkhoñ se
baat karte ho to hotā hai zabāñ se sadma
dekhte ho to pahuñchtā hai gazand āñkhoñ se
'ishq meñ hausla-mandī bhī zarūrī hai 'sha'ūr'
dekhiye us kī taraf hausla-mand āñkhoñ se
un ki surat hamein aai thi pasand aankhon se
aur phir ho gai baala-o-buland aankhon se
koi zanjir nahin tar-e-nazar se mazbut
hum ne us chand pe Dali hai kamand aankhon se
Thahr sakti hai kahan us ruKH-e-taban pe nazar
dekh sakta hai use aadmi band aankhon se
baat karte ho to hota hai zaban se sadma
dekhte ho to pahunchta hai gazand aankhon se
'ishq mein hausla-mandi bhi zaruri hai 'sha'ur'
dekhiye us ki taraf hausla-mand aankhon se
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 159)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.