un ko dekh ke dil sa murakh jab sanche mein Dhal jata hai
un ko dekh ke dil sā mūrakh jab sāñche meñ Dhal jaatā hai
merī bisāt to kyā hai ik 'ālam par jaadū chal jaatā hai
apnā fasāna yā rūdād-e-zamāna kahte kab bantī hai
āñkhoñ meñ aañsū aate haiñ ḳhuuñ kā rang badal jaatā hai
hote hote kaun sī mushkil hai jo nahīñ āsāñ ho jaatī
jiite jiite maut kā kāñTā bhī to jī se nikal jaatā hai
ab is 'umr meñ aur in hāloñ dil ko samjhāne se hāsil
laakh sahī bosīda rassī kab jalne se bal jaatā hai
'mīr' se le kar 'mīrā-jī' tak 'ishq ke maare hī marte haiñ
in aise vāraftoñ se to varna zamāna chal jaatā hai
un ko dekh ke dil sa murakh jab sanche mein Dhal jata hai
meri bisat to kya hai ek 'alam par jadu chal jata hai
apna fasana ya rudad-e-zamana kahte kab banti hai
aankhon mein aansu aate hain KHun ka rang badal jata hai
hote hote kaun si mushkil hai jo nahin aasan ho jati
jite jite maut ka kanTa bhi to ji se nikal jata hai
ab is 'umr mein aur in haalon dil ko samjhane se hasil
lakh sahi bosida rassi kab jalne se bal jata hai
'mir' se le kar 'mira-ji' tak 'ishq ke mare hi marte hain
in aise warafton se to warna zamana chal jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.