un pe aai kahan Tali hai abhi
un pe aa.ī kahāñ Talī hai abhī
zikr merā galī galī hai abhī
har taraf shor-e-nau-bahār sahī
dam-ba-ḳhud phir bhī har kalī hai abhī
jaan denā junūñ sahī lekin
rasm-e-duniyā meñ ye bhalī hai abhī
merī sūrat pe bhūlne vaale
un ke vā'doñ meñ ye Dhalī hai abhī
ġhuncha-e-dil kabhī khile shāyad
zindagī kī havā chalī hai abhī
ik umīd-e-sahar hai raat ke paas
us ke ḳhuuñ meñ yahī palī hai abhī
aur kyā hoñge ziist ke āsār
mujh se paivasta bekalī hai abhī
jaane kyūñkar huā 'nazar' ḳhāmosh
bazm-e-'ālam meñ khalbalī hai abhī
un pe aai kahan Tali hai abhi
zikr mera gali gali hai abhi
har taraf shor-e-nau-bahaar sahi
dam-ba-KHud phir bhi har kali hai abhi
jaan dena junun sahi lekin
rasm-e-duniya mein ye bhali hai abhi
meri surat pe bhulne wale
un ke wa'don mein ye Dhali hai abhi
ghuncha-e-dil kabhi khile shayad
zindagi ki hawa chali hai abhi
ek umid-e-sahar hai raat ke pas
us ke KHun mein yahi pali hai abhi
aur kya honge zist ke aasar
mujh se paiwasta bekali hai abhi
jaane kyunkar hua 'nazar' KHamosh
bazm-e-'alam mein khalbali hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.