us jaan-e-jaan se KHatm hai jab se mukalima
us jān-e-jāñ se ḳhatm hai jab se mukālima
jaarī hai apne aap se tab se mukālima
dāñtoñ ke biich bhīñch liyā hai zabān ko
mumkin nahīñ thā shor-o-shaġhab se mukālima
ug aa.e ek aan meñ kāñTe zabān par
jab bhī kiyā hai taish-o-ġhazab se mukālima
tālāb ko bahāv ke maslak kī kyā ḳhabar
us kī nazar meñ kufr hai sab se mukālima
ham un ke tevaroñ kī samajhne lage zabāñ
mauqūf jab se ho gayā lab se mukālima
sad-shukr bāt-chīt kī ik raah to khulī
jaarī huā kisī bhī sabab se mukālima
dā'vā-e-hifz par mire dhabba tirā vujūd
dīvār kar rahī hai naqab se mukālima
ikkīsvīñ sadī to dalā.el kī hai sadī
kartī nahīñ jo nām-o-nasab se mukālima
'arshī' ham aise shaḳhs se kyā guftugū kareñ
jaarī na rakh sake jo adab se mukālima
us jaan-e-jaan se KHatm hai jab se mukalima
jari hai apne aap se tab se mukalima
danton ke bich bhinch liya hai zaban ko
mumkin nahin tha shor-o-shaghab se mukalima
ug aae ek aan mein kanTe zaban par
jab bhi kiya hai taish-o-ghazab se mukalima
talab ko bahaw ke maslak ki kya KHabar
us ki nazar mein kufr hai sab se mukalima
hum un ke tewaron ki samajhne lage zaban
mauquf jab se ho gaya lab se mukalima
sad-shukr baat-chit ki ek rah to khuli
jari hua kisi bhi sabab se mukalima
da'wa-e-hifz par mere dhabba tera wujud
diwar kar rahi hai naqab se mukalima
ikkiswin sadi to dalael ki hai sadi
karti nahin jo nam-o-nasab se mukalima
'arshi' hum aise shaKHs se kya guftugu karen
jari na rakh sake jo adab se mukalima
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.