us ka didar hua jashn manaya jae
us kā dīdār huā jashn manāyā jaa.e
ham ko bhī pyaar huā jashn manāyā jaa.e
ek muddat se mirī zindagī soī paḌī thī
baḳht bedār huā jashn manāyā jaa.e
vo jo nāseh thā tire 'ishq kī bābat sā.īñ
merā ġham-ḳhvār huā jashn manāyā jaa.e
yahī dil jis ne ki tūfān machā rakkhā thā
achchhā hai ḳhvār huā jashn manāyā jaa.e
us ka didar hua jashn manaya jae
hum ko bhi pyar hua jashn manaya jae
ek muddat se meri zindagi soi paDi thi
baKHt bedar hua jashn manaya jae
wo jo naseh tha tere 'ishq ki babat sain
mera gham-KHwar hua jashn manaya jae
yahi dil jis ne ki tufan macha rakkha tha
achchha hai KHwar hua jashn manaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.