uski aankhon mein hamari shairi gum ho gai
us kī āñkhoñ meñ hamārī shā'irī gum ho ga.ī
raushnī kī aaḌ meñ sab raushnī gum ho ga.ī
vo galī jo dāstānoñ hī meñ gum hotī thī bas
chalte chalte aaj ham se vāqa'ī gum ho ga.ī
ham ki vīrānoñ ke gum-karda the lekin ek shaam
ham meñ vīrānī qarīb-o-dūr kī gum ho ga.ī
bāġh-e-dil is baar kis raftār se ḳhālī huā
phuul mere gum hue ḳhushbū tirī gum ho ga.ī
do kināre ḳhāmushī ke ek ham aur ek tum
darmiyāñ jis jis kī bhī āvāz thī gum ho ga.ī
jo bhī the naqsh-e-navā ke do amānat-dār the
dil bhī ojhal ho gayā dīvār bhī gum ho ga.ī
shaam aur ham pattiyāñ chunte rahe bekār meñ
ḳhvāb kī ḳhushbū tumhāre saath hī gum ho ga.ī
us ki aankhon mein hamari sha'iri gum ho gai
raushni ki aaD mein sab raushni gum ho gai
wo gali jo dastanon hi mein gum hoti thi bas
chalte chalte aaj hum se waqa'i gum ho gai
hum ki viranon ke gum-karda the lekin ek sham
hum mein virani qarib-o-dur ki gum ho gai
bagh-e-dil is bar kis raftar se KHali hua
phul mere gum hue KHushbu teri gum ho gai
do kinare KHamushi ke ek hum aur ek tum
darmiyan jis jis ki bhi aawaz thi gum ho gai
jo bhi the naqsh-e-nawa ke do amanat-dar the
dil bhi ojhal ho gaya diwar bhi gum ho gai
sham aur hum pattiyan chunte rahe bekar mein
KHwab ki KHushbu tumhaare sath hi gum ho gai
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 37)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.