Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uski nazar ka mujh pe kuchh aisa asar hua

Bashir Farooqi

uski nazar ka mujh pe kuchh aisa asar hua

Bashir Farooqi

MORE BYBashir Farooqi

    us nazar mujh pe kuchh aisā asar huā

    dil thā sadaf misāl ba-rañg-e-guhar huā

    vo shoḳhiyāñ thiiñ aur na vo rañg-rūp thā

    kal maiñ bahut udaas use dekh kar huā

    īsār aur vafā mire dāstāñ ye hai

    jab bhī vatan pe vaar hue maiñ sipar huā

    vo hādisa to koī baḌā hādisa na thā

    ye aur baat dil pe ziyāda asar huā

    aisā bhī ek dar hai isī kā.enāt meñ

    us dar jo faqīr huā tājvar huā

    ab ke mujh ko sard shabistāñ huā nasīb

    barsoñ tamām jism pasīne meñ tar huā

    dahshat-zada fazāoñ se vo be-niyāz thā

    jab us ghar jalā hai to us par asar huā

    yaad aa ga.ī thī mujh ko shahīd-e-vafā pyaas

    dariyā ko dekh kar jo mirā dil sharar huā

    patthar bhī pheñkte koī aatā nahīñ idhar

    būḌhe shajar tarah jo maiñ be-samar huā

    jis din mirī ġhazal ne chhue us ke lab 'bashīr'

    us din mirī ġhazal safar mo'atabar huā

    us ki nazar ka mujh pe kuchh aisa asar hua

    dil tha sadaf misal ba-rang-e-guhar hua

    wo shoKHiyan thin aur na wo rang-rup tha

    kal main bahut udas use dekh kar hua

    isar aur wafa ki mere dastan ye hai

    jab bhi watan pe war hue main sipar hua

    wo hadisa to koi baDa hadisa na tha

    ye aur baat dil pe ziyaada asar hua

    aisa bhi ek dar hai isi kaenat mein

    us dar ka jo faqir hua tajwar hua

    ab ja ke mujh ko sard shabistan hua nasib

    barson tamam jism pasine mein tar hua

    dahshat-zada fazaon se wo be-niyaz tha

    jab us ka ghar jala hai to us par asar hua

    yaad aa gai thi mujh ko shahid-e-wafa ki pyas

    dariya ko dekh kar jo mera dil sharar hua

    patthar bhi phenkte koi aata nahin idhar

    buDhe shajar ki tarah jo main be-samar hua

    jis din meri ghazal ne chhue us ke lab 'bashir'

    us din meri ghazal ka safar mo'atabar hua

    Source:

    Dairon ke darmiyan (Pg. 69)

    • Author: Bashiir Faruqi
      • Edition: 2009
      • Publisher: Bashiir Faruqi
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now