uski shadi ka wo manzar wo tamasha chhoD kar
us kī shādī kā vo manzar vo tamāsha chhoḌ kar
ham chale aa.e haiñ us ko raqs kartā chhoḌ kar
jal ga.e hote sahar ke ḳhvāb gar jagtā na maiñ
dhuup aa baiThī thī bistar par darīcha chhoḌ kar
ham se to kuchh 'ādateñ bhī ab talak chhūTī nahīñ
tum chale aa.e ho pīchhe ek duniyā chhoḌ kar
us kī bātoñ meñ sadāqat kī mahak roko use
sab chale jā.eñge us ko bhī akelā chhoḌ kar
haa.e ye ḳhushiyoñ kā mausam aur ye khaTkā hameñ
rut chalī jā.egī ik din ye baġhīcha chhoḌ kar
is khule ākāsh meñ bārish ke phir imkān haiñ
ghar chale aao jahāñ bhī ho ye jhagḌā chhoḌ kar
us ki shadi ka wo manzar wo tamasha chhoD kar
hum chale aae hain us ko raqs karta chhoD kar
jal gae hote sahar ke KHwab gar jagta na main
dhup aa baiThi thi bistar par daricha chhoD kar
hum se to kuchh 'adaten bhi ab talak chhuTi nahin
tum chale aae ho pichhe ek duniya chhoD kar
us ki baaton mein sadaqat ki mahak roko use
sab chale jaenge us ko bhi akela chhoD kar
hae ye KHushiyon ka mausam aur ye khaTka hamein
rut chali jaegi ek din ye baghicha chhoD kar
is khule aakash mein barish ke phir imkan hain
ghar chale aao jahan bhi ho ye jhagDa chhoD kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.