Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uski taswir ko sine se lagata hi nahin

Dipak Prajapati Khaalis

uski taswir ko sine se lagata hi nahin

Dipak Prajapati Khaalis

MORE BYDipak Prajapati Khaalis

    us tasvīr ko siine se lagātā nahīñ

    haañ maiñ vo shaḳhs huuñ jo ishq jatātā nahīñ

    us ko kab se hai tavaqqo.a bulā.ūñgā maiñ

    maiñ masrūf huuñ itnā bulātā nahīñ

    ek sach ye hai ki us ne kiyā hai barbād

    ek ye bhī hai ki vo zehn se jaatā nahīñ

    mere kamre to aadat hai bikhar jaane

    maiñ yahī soch ke kamre ko sajātā nahīñ

    ḳhauf lagtā hai mujhe raushnī meñ jaane se

    shaam ke vaqt bhī maiñ sham.a jalātā nahīñ

    hijr ke baad se us ne na rachā.ī mehñdī

    maiñ bhī ab jhaT se koī phone uThātā nahīñ

    us ki taswir ko sine se lagata hi nahin

    han main wo shaKHs hun jo ishq jatata hi nahin

    us ko kab se hai tawaqqoa ki bulaunga main

    main hi masruf hun itna ki bulata hi nahin

    ek sach ye hai ki us ne hi kiya hai barbaad

    ek ye bhi hai ki wo zehn se jata hi nahin

    mere kamre ki to aadat hai bikhar jaane ki

    main yahi soch ke kamre ko sajata hi nahin

    KHauf lagta hai mujhe raushni mein jaane se

    sham ke waqt bhi main shama jalata hi nahin

    hijr ke baad se us ne na rachai mehndi

    main bhi ab jhaT se koi phone uThata hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now