Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usko bhi kisi roz mera dhyan rahega

Salim Saleem

usko bhi kisi roz mera dhyan rahega

Salim Saleem

MORE BYSalim Saleem

    us ko bhī kisī roz mirā dhyān rahegā

    zinda jo rahūñgā to ye imkān rahegā

    jis lafz se phūTegī tire dard ḳhushbū

    vo lafz mire she'r pahchān rahegā

    achchhā huā ḳhud ko bhī ab bhuul ga.e haiñ

    ham par tirī yādoñ ye ehsān rahegā

    kuchh roz abhī jashn huā hogā yahāñ bhī

    kuchh roz abhī gard tūfān rahegā

    ham kitnā bahlā.eñ nahīñ bahlegā ye dil

    ham kitnā samjhā.eñ pareshān rahegā

    haañ ahl-e-jahāñ ḳhaak uḌāte raheñge

    jab tak mirī vahshat bayābān rahegā

    ham dekh ke us shaḳhs ko anjān baneñge

    vo shaḳhs hameñ dekh ke hairān rahegā

    us ko bhi kisi roz mera dhyan rahega

    zinda jo rahunga to ye imkan rahega

    jis lafz se phuTegi tere dard ki KHushbu

    wo lafz mere she'r ki pahchan rahega

    achchha hi hua KHud ko bhi ab bhul gae hain

    hum par teri yaadon ka ye ehsan rahega

    kuchh roz abhi jashn hua hoga yahan bhi

    kuchh roz abhi gard ka tufan rahega

    hum kitna hi bahlaen nahin bahlega ye dil

    hum kitna hi samjhaen pareshan rahega

    han ahl-e-jahan KHak uDate hi rahenge

    jab tak meri wahshat ka bayaban rahega

    hum dekh ke us shaKHs ko anjaan banenge

    wo shaKHs hamein dekh ke hairan rahega

    Source:

    Wahima Vajood Ka (Pg. 54)

    • Author: Salim Saleem
      • Edition: 2nd
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2022

    Source:

    Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 56)

    • Author: Salim Saleem
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now