Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usko dekha tha faqat do-chaar lamhon ke liye

Saleem Betab

usko dekha tha faqat do-chaar lamhon ke liye

Saleem Betab

MORE BYSaleem Betab

    us ko dekhā thā faqat do-chār lamhoñ ke liye

    ho ga.e tanhā jahāñ meñ kitnī sadiyoñ ke liye

    raat pichhlā pahar mujh ko bashārat de gayā

    aa rahī hai raushnī tārīk galiyoñ ke liye

    koī rut ho sadā paayā hai un ko sogvār

    mausamoñ qahr hai ma.asūm pattoñ ke liye

    ab koī chehra koī manzar hameñ rokegā kyā

    uTh chuke apne qadam pur-pech rastoñ ke liye

    ek gul hai tujh ko pyārā ek gul mujh ko aziiz

    kitne pāgal ho ga.e ham log rañgoñ ke liye

    jin saaya maaoñ āġhosh se kuchh kam na thā

    qatl ke ahkām haiñ ab un daraḳhtoñ ke liye

    ab na.e pahlū se dekhā chāhiye bāhar rañg

    muntaḳhab kiije na.ī jag.heñ darīchoñ ke liye

    zaat ke tārīk ġhāroñ meñ darīche kholiye

    rāsta koī to ho sūraj kirnoñ ke liye

    kījiye 'betāb' raushan apnī palkoñ par diye

    raushnī darkār hai be-nūr kamroñ ke liye

    us ko dekha tha faqat do-chaar lamhon ke liye

    ho gae tanha jahan mein kitni sadiyon ke liye

    raat ka pichhla pahar mujh ko bashaarat de gaya

    aa rahi hai raushni tarik galiyon ke liye

    koi si rut ho sada paya hai un ko sogwar

    mausamon ka qahr hai masum patton ke liye

    ab koi chehra koi manzar hamein rokega kya

    uTh chuke apne qadam pur-pech raston ke liye

    ek gul hai tujh ko pyara ek gul mujh ko aziz

    kitne pagal ho gae hum log rangon ke liye

    jin ka saya maon ki aaghosh se kuchh kam na tha

    qatl ke ahkaam hain ab un daraKHton ke liye

    ab nae pahlu se dekha chahiye bahar ka rang

    muntaKHab kije nai jaghen darichon ke liye

    zat ke tarik ghaaron mein dariche kholiye

    rasta koi to ho suraj ki kirnon ke liye

    kijiye 'betab' raushan apni palkon par diye

    raushni darkar hai be-nur kamron ke liye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now