us mast-e-nazar ka uf re sitam jis waqt idhar ho jati hai
us mast-e-nazar kā uf re sitam jis vaqt idhar ho jaatī hai
majrūh jigar ho jaatā hai betāb nazar ho jaatī hai
allāh re ye dastūr-e-amal allāh re ye qānūn-e-aTal
jis samt vo nazreñ uThtī haiñ duniyā hī udhar ho jaatī hai
ik vo bhī zamāna thā apnā phūloñ pe baserā hotā thā
ik ye bhī zamāna hai apnā kāñToñ pe basar ho jaatī hai
jis shām-e-alam kī tārīkī ġham dil kā farāvāñ kartī ho
us shaam kī aksar tārīkī pur-nūr sahar ho jaatī hai
ik roz qamar ban jaatā hai jis tarh mah-e-nau gardish se
us tarh mohabbat meñ dil kī har aah sharar ho jaatī hai
jo 'nūh' se nisbat rakhte haiñ lā-raib 'azīz' un kī kashtī
dam bhar meñ idhar ho jaatī hai dam bhar meñ udhar ho jaatī hai
us mast-e-nazar ka uf re sitam jis waqt idhar ho jati hai
majruh jigar ho jata hai betab nazar ho jati hai
allah re ye dastur-e-amal allah re ye qanun-e-aTal
jis samt wo nazren uThti hain duniya hi udhar ho jati hai
ek wo bhi zamana tha apna phulon pe basera hota tha
ek ye bhi zamana hai apna kanTon pe basar ho jati hai
jis sham-e-alam ki tariki gham dil ka farawan karti ho
us sham ki aksar tariki pur-nur sahar ho jati hai
ek roz qamar ban jata hai jis tarh mah-e-nau gardish se
us tarh mohabbat mein dil ki har aah sharar ho jati hai
jo 'nuh' se nisbat rakhte hain la-raib 'aziz' un ki kashti
dam bhar mein idhar ho jati hai dam bhar mein udhar ho jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.