usne baat nahin kaTi yun mere baat banane par
us ne baat nahīñ kaaTī yuuñ mere baat banāne par
maiñ bhī haañ meñ haañ kartā thā us ke har afsāne par
jis rishte ko zinda rakhne kī ḳhātir maiñ martā thā
phir ik din maiñ jī uTThā us rishte ke mar jaane par
sadmoñ par sadme milte haiñ lekin merī jān-e-jāñ
rone tak kā vaqt nahīñ hai tere is dīvāne par
mere baa'd ye duniyā thoḌī aur harī ho jā.egī
peḌ phalā phūlā karte haiñ kuchh shāḳheñ kaT jaane par
bas kuchh pal ko aañkh laḌī thī ek safar kā qissa thā
phir sāloñ gumrāh rahe ham us laḌkī ke jaane par
us ke ranj-o-ġham se saarī duniyā kā vo rishta thā
baaġh pareshāñ ho jaa.e jyuuñ ek kalī murjhāne par
hijr manāne ab ke majnūñ maiḳhāne meñ jā baiThā
lailā jaane kyā biitī ho us pāgal vīrāne par
us ne baat nahin kaTi yun mere baat banane par
main bhi han mein han karta tha us ke har afsane par
jis rishte ko zinda rakhne ki KHatir main marta tha
phir ek din main ji uTTha us rishte ke mar jaane par
sadmon par sadme milte hain lekin meri jaan-e-jaan
rone tak ka waqt nahin hai tere is diwane par
mere ba'd ye duniya thoDi aur hari ho jaegi
peD phala phula karte hain kuchh shaKHen kaT jaane par
bas kuchh pal ko aankh laDi thi ek safar ka qissa tha
phir salon gumrah rahe hum us laDki ke jaane par
us ke ranj-o-gham se sari duniya ka wo rishta tha
bagh pareshan ho jae jyun ek kali murjhane par
hijr manane ab ke majnun maiKHane mein ja baiTha
laila jaane kya biti ho us pagal virane par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.