usne chahat ko meri samt baDhaya kab tha

usne chahat ko meri samt baDhaya kab tha
Asma Mohammad Shahid Khan
MORE BYAsma Mohammad Shahid Khan
us ne chāhat ko mirī samt baḌhāyā kab thā
jaam hoñToñ se mire us ne lagāyā kab thā
us ko rūThe hue lagtā hai ki sadiyāñ guzrīñ
kyā kahūñ raat ne phir aaj sulāyā kab thā
dil se ik bojh saraktā rahā pahlū meñ mire
hāl-e-dil maiñ ne kabhī us ko batāyā kab thā
rāh-e-ulfat meñ kabhī maiñ ne tabassum na kiyā
zindagī tū ne mujhe fan ye sikhāyā kab thā
kis qadar ḳhuun huā hai mire dil kā 'asmā'
bār-e-ehsāñ bhī kisī gul kā uThāyā kab thā
us ne chahat ko meri samt baDhaya kab tha
jam honTon se mere us ne lagaya kab tha
us ko ruThe hue lagta hai ki sadiyan guzrin
kya kahun raat ne phir aaj sulaya kab tha
dil se ek bojh sarakta raha pahlu mein mere
haal-e-dil main ne kabhi us ko bataya kab tha
rah-e-ulfat mein kabhi main ne tabassum na kiya
zindagi tu ne mujhe fan ye sikhaya kab tha
kis qadar KHun hua hai mere dil ka 'asma'
bar-e-ehsan bhi kisi gul ka uThaya kab tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.