usne kaha ki KHwab mein chalna hai to chalo
us ne kahā ki ḳhvāb meñ chalnā hai to chalo
shamshīr-e-ġham kī aab meñ chalnā hai to chalo
us ne kahā ki duur se dekho mahal kī shaan
kyā hai fasīl-o-bāb meñ chalnā hai to chalo
us ne kahā ki sunnat-e-majnūn hai yahī
sahrā-e-iztirāb meñ chalnā hai to chalo
us ne kahā ki rāsta pūchho havāoñ se
aur abr kī rikāb meñ chalnā hai to chalo
us ne kahā ki chāñdnī ke barg-e-zard ko
rakkho abhī kitāb meñ chalnā hai to chalo
us ne kahā ki señk lo paañv ke aable
pahlū-e-āftāb meñ chalnā hai to chalo
us ne kahā ki chheḌo mat añgḌā.ī letī hai
ḳhushbū abhī gulāb meñ chalnā hai to chalo
us ne kahā ki bhauñkte haiñ raat ko khañDar
us bastī-e-ḳharāb meñ chalnā hai to chalo
us ne kaha ki KHwab mein chalna hai to chalo
shamshir-e-gham ki aab mein chalna hai to chalo
us ne kaha ki dur se dekho mahal ki shan
kya hai fasil-o-bab mein chalna hai to chalo
us ne kaha ki sunnat-e-majnun hai yahi
sahra-e-iztirab mein chalna hai to chalo
us ne kaha ki rasta puchho hawaon se
aur abr ki rikab mein chalna hai to chalo
us ne kaha ki chandni ke barg-e-zard ko
rakkho abhi kitab mein chalna hai to chalo
us ne kaha ki senk lo panw ke aable
pahlu-e-aftab mein chalna hai to chalo
us ne kaha ki chheDo mat angDai leti hai
KHushbu abhi gulab mein chalna hai to chalo
us ne kaha ki bhaunkte hain raat ko khanDar
us basti-e-KHarab mein chalna hai to chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.