usne mumkin hai aazmaya ho
us ne mumkin hai āzmāyā ho
vo bahāne se laḌkhaḌāyā ho
ho bhī saktā hai bhiiḌ meñ itnī
vo mujhe dekh hī na paayā ho
niiñd TuuTī ho ye bhī mumkin hai
ho bhī saktā hai ḳhvāb aayā ho
kyoñ kisī ġham ko maiñ karūñ ruḳhsat
ek aañsū bhī kyoñ parāyā ho
kaash vo jangaloñ meñ bhaTkā ho
aur rasta na bhuul paayā ho
ab koī farq hī nahīñ paḌtā
dhuup barse ki sar pe saayā ho
tab chamak dekh sabza-zāroñ kī
dasht jab dhuup meñ nahāyā ho
us ne mumkin hai aazmaya ho
wo bahane se laDkhaDaya ho
ho bhi sakta hai bhiD mein itni
wo mujhe dekh hi na paya ho
nind TuTi ho ye bhi mumkin hai
ho bhi sakta hai KHwab aaya ho
kyon kisi gham ko main karun ruKHsat
ek aansu bhi kyon paraya ho
kash wo jangalon mein bhaTka ho
aur rasta na bhul paya ho
ab koi farq hi nahin paDta
dhup barse ki sar pe saya ho
tab chamak dekh sabza-zaron ki
dasht jab dhup mein nahaya ho
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 81)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.